shaer aur masKHare

hamare yahan aam taur par
har mauqe par

shaer aur maskhare
ek jaisi kursiyon par baithte hain

aur kursiyon tak aane ke liye
ek hi raste se guzarte hain

aur is raste se pahle
ek hi zine upar chadhte hain

shaer aur maskhare sath sath chalte hain
chalte chalte maskhara zor zor se hansta hai

shaer rota hai aur hum
donon ki aawazen sath sath sunte hain

aur bhul jate hain dhyan hi nahin dete
is baat par ki in mein se

shaer ki aawaz kaun si hai aur maskhare ki kaun si
aur is baat par ki hamein

maskhare ki hansi par tawajjoh deni chahiye
ya shaer ke aansuon par

aur is baat par ki hamein
shairon maskharon aur kursiyon mein

koi farq mahsus nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close