hamare shahr main jitna khun bahta hai us se kuchh ziyaada pani thodi der ke liye hamare gharon mein faraham kiya jata hai jitni bar hum operator ki madad se kisi padosi ya dost ke liye hangami imdad talab karte hain us se bahut ziyaada ka bill har mahine hamein mausul hota hai jitni der la-waris lashen aur zakhmi murda-khane aspatal ya sadak par embulance ka intizar karte hain us se kuchh ziyaada der hum apne bachne ki duaen mangte hain jitne din insani jism jhadiyon ya mein-hole mein chhupe rahte hain un se kuchh ziyaada din hum khauf ke aalam mein apni diwar ke pichhe khidkiyan darwaze band karte hue guzarte hain hamari khamoshi ya hamare chillane par bachchon ki tarah hamein bahlaya jata hai pas-mandagan ki tarah hamein marne walon ka muawza diya jata hai sogwaron ki tarah hamein dilasa diya jata hai doston ki tarah hamesha hamein apne qarib rakha jata hai dushmanon ki tarah ek ek kar ke khatm kiya jata hai marne walon ki tarah jannat mein jagah milne ki dua ke sath dusri lashon ke ham-rah upar-tale dafn kiya jata hai