agar is gulshan-e-hasti mein hona hi muqaddar tha to main ghunchon ki mutthi mein dil-e-bulbul hua hota gunahon mein zarar hota, duaon mein asar hota mohabbat ki nazar hota, hasinon ki ada hota farogh-e-chehra-e-mehnat, ghubar-e-daman-e-daulat nam-e-peshani-e-ghairat, kham-e-zulf-e-rasa hota hua hota kisi dastar-e-kaj par phul ki tarah aur us dastar-e-kaj ki tamkanat par hans raha hota kisi maghrur ki gardan pe hota bojh ehsan ka kisi zalim ke dil mein dard ho kar la-dawa hota kisi munim ke chehre par khushi hajat-rawai ki kisi nadar ki nazron mein sharm-e-iltija hota kisi bhatke hue rahi ko deta dawat-e-manzil bayaban ki andheri shab mein jogi ka diya hota kisi ke kalba-e-ahzan mein sham-e-muzmahil ban kar kisi bimar muflis ke sirhane ro raha hota sharar ban kar kisi nadar ghar ke sard chulhe mein ba-sad ummid-e-farda zer-e-khakistar daba hota yatim-e-be-nawa ki rah-guzar par ashrafi ban kar laim-e-faqa-kash ki jeb-e-mumsik se gira hota niystan se nikal kar hasrat-abaad-e-tamaddun mein gada-e-pir o na-bina ke hathon ka asa hota shikasta jhonpade mein bansuri-e-dahqan ki sur ban kar sukut-e-nim-shab mein raaz-e-hasti kah raha hota gharaz is hasrat-o-andoh-o-yas-o-gham ki basti mein kahin daur-afrin hota, kahin dard-ashna hota duboya mujh ko hone ne ba-qaul-e-ghaalib-e-dana na tha kuchh to khuda tha, kuchh na hota to khuda hota