bade naz se aaj ubhra hai suraj himala ke unche kalas jagmagae pahadon ke chashmon ko sona banaya nae bil nae zor in ko sikhae libas-e-zari aabshaaron ne paya nashebi zaminon pe chhinte udae ghane unche unche darakhton ka manzar ye hain aaj sab aab-e-zar mein nahae magar in darakhton ke sae mein ai dil hazaron baras ke ye thithure se paude hazaron baras ke ye simte se paude ye hain aaj bhi sard behaal be-dam ye hain aaj bhi apne sar ko jhukae are o nai shan ke mere suraj teri aab mein aur bhi tab aae tere pas aisi bhi koi kiran hai jo aise darakhton mein bhi rah pae jo thahre huon ko jo simte huon ko hararat bhi bakhshe gale bhi lagae bade naz se aaj ubhra hai suraj himala ke unche kalas jagmagae fazaon mein hone lagi barish-e-zar koi naznin jaise afshan chhudae damakne lage yun khalaon ke zarre ki taron ki duniya ko bhi rashk aae hamare uqabon ne angdaiyan lin sunahri hawaon mein par phadphadae fuzun-tar hua nashsha-e-kaamrani tajassus ki aankhon mein dore se aae qadam chumne barq-o-baad aab-o-atish ba-sad-shauq daude ba-sad-ijz aae magar barq o aatish ke sae mein ai dil ye sadiyon ke khud-rafta nashad tair ye sadiyon ke par-basta barbaad tair ye hain aaj bhi muzmahil dil-girafta ye hain aaj bhi apne sar ko chhupae are o nai shan ke mere suraj teri aab mein aur bhi tab aae tere pas aisi bhi koi kiran hai unhen panja-e-tez se jo bachae inhen jo nae baal-o-par aa ke bakhshe inhen jo nae sir se udna sikhae