har ek daur mein har zamane mein hum zahr pite rahe, git gate rahe jaan dete rahe zindagi ke liye saat-e-wasl ki sarkhushi ke liye din o duniya ki daulat lutate rahe faqr-o-faqa ka tosha sambhaale hue jo bhi rasta chuna us pe chalte rahe mal wale haqarat se takte rahe tan karte rahe hath malte rahe hum ne un par kiya harf-e-haq sang-zan jin ki haibat se duniya larazti rahi jin pe aansu bahane ko koi na tha apni aankh un ke gham mein barasti rahi sab se ojhal hue hukm-e-hakim pe hum qaid-khane sahe, taziyane sahe log sunte rahe saz-e-dil ki sada apne naghme salakhon se chhante rahe khun-chakan dahr ka khun-chakan aaina dukh-bhari khalq ka dukh-bhara dil hain hum taba-e-shaer hai jangah-e-adl-o-sitam munsif-e-khair-o-shar haqq-o-baatil hain hum