aasman ki god mein dam todta hai tifl-e-abr jam raha hai abr ke honton pe khun-alud kaf bujhte bujhte bujh gai hai arsh ke hujron mein aag dhire dhire bichh rahi hai matami taron ki saf ai saba shayad tere ham-rah ye khun-nak sham sar jhukae ja rahi hai shahr-e-yaran ki taraf shahr-e-yaran jis mein is dam dhundhti phirti hai maut sher-dil banko mein apne tir-o-nashtar ke hadaf ek taraf bajti hain josh-e-zist ki shahnaiyan ek taraf chinghadte hain ahrman ke tabl-o-daf ja ke kahna ai saba baad-az-salam-e-dosti aaj shab jis dam guzar ho shahr-e-yaran ki taraf dasht-e-shab mein is ghadi chup-chap hai shayad rawan saqi-e-subh-e-tarab naghma-ba-lab saghar-ba-kaf wo pahunch jae to hogi phir se barpa anjuman aur tartib-e-maqam-o-mansab-o-jah-o-sharaf