ye shafaq pighle hue sone ki goya kan hai jis taraf dekho sunahre rang ka tufan hai arsh se ta-farsh chhai hai gulabi raushni uf chhidak di kis ne aalam par sharab-e-zindagi ho rahi hain safha-e-alam par rang-ameziyan ban gaya sara jahan-e-sada ek rangin jahan ja raha hai qafila ranginiyon nuron ka ye bah raha hai ya safina charkh par huron ka ye ye sunahri kaun basti hai nahin chalta pata kah raha hai dil jazira to nahin ye khuld ka husn masti-za kuchh aisa chha raha hai dahr par dil se main hun be-khabar to dil hai mujh se be-khabar khuld ka zarrin samundar maujzan hai charkh par ya jawahar ka zakhira aa raha hai ye nazar jis taraf dekho zamin ta-asman hai surkh-posh ek zamin-o-asman kya kul jahan hai surkh-posh ye tahayyur-za nazare ye suhani rangaten kya utar aai hain gardun se zamin par jannaten kash is dilchasp-tar duniya mein kho jae 'shamim' kash in ranginiyon mein jazb ho jae 'shamim'