muddaton baad phir ubhri hai tumhaari taswir mere viran khayalat ki gahrai mein tum ne khwabon mein na aane ki qasam khai thi kyon mukhil aa ke hue phir meri tanhai mein zalzale tum se hain wabasta tumhein kya malum aaj halchal si machi hai dil-e-saudai mein main tumhein kho ke ye socha tha ki khud ko dhundhun kya ajab hai ki mile apna kinara mujh ko haif-sad-haif magar tut gaya mera tilism tum ne mazi ke shabistan se pukara mujh ko jagmaga utthe tasawwur mein charagh-e-mahfil tum nazar aane lage anjuman-ara mujh ko maqbara meri tamannaon ka mazi ka harim jis mein madfun hain murde mere afsanon ke tum pe maftun kam-andesha wo majnun-e-shabab aur udte hue purze wo garebanon ke barish-e-ashk phir us garmi-e-wahshat ke baad jis mein andaz machalte hue tufanon ke kabhi raaton mein ghula nashsha-e-sahba-e-bahaar kabhi subhon mein meri garmi-e-hangam-e-nushur ishq betab magar husn ko pabandi-e-waza mere warafta taqaze the magar tum majbur bewafa tum ko jo kah deta tha jhunjhlahat mein dabdaba aati thin ashkon se wo aankhen makhmur jab meri jaan tumhin bhul gae ho mujh ko yaad se apni ye kah do ki satae na mujhe badi mushkil se ye lamhat-e-sukun aae hain shorish-e-ishq ba-takrar hilae na mujhe mere virane mein paida hain kuchh aasar-e-bahaar qissa-e-daur-e-junun koi sunae na mujhe ab to wo walwala-e-ahd-e-jawani bhi nahin waqt mera ye nahin ishq ke hangamon ka mujh ko mazi se mere dur hi bas rahne do zikr hai dard-rasan tute hue jamon ka main alag tum se tha ya mera hi partaw the tum mujh ko mafhum samajhne do in ibhamon ka