tumhein jab dekhta hun to meri aankhon pe rangon ki phuwaren padne lagti hain tumhein sunta hun to mujh ko qadimi mandiron se ghantiyon aur masjidon se wird ki aawaz aati hai tumhaara nam leta hun to sadiyon qabl ke lakhon sahifon ke muqaddas lafz mera sath dete hain tumhein chhu lun to duniya-bhar ke resham ka mulaem-pan meri poron ko aa kar gudgudata hai tumhein gar chum lun to mere honton par uluhi aasmani na-chashida zaiqe yun phail jate hain ki us ke baad mujh ko shahd bhi phika sa lagta hai tumhein jab yaad karta hun to har har yaad ke sadqe mein ashkon ke parinde chum kar aazad karta hun tumhein hansti hui sun lun to saton sur samaat mein sama kar raqs karte hain kabhi tum ruthti ho to meri sansen atakne aur dhadkan thamne lagti hai tumhaare aur apne ishq ki har kaifiyat se aashna hun main magar jaanan tumhein bilkul bhula dene ki jaane kaifiyat kya hai mujhe mahsus hota hai ki marg-e-zat ke ehsas se bhar jaunga fauran tumhein main bhulna chahunga to mar jaunga fauran