ek sang tarash jis ne barson hiron ki tarah sanam tarashe aaj apne sanam-kade mein tanha majbur nidhaal zakhm-khurda din raat pada karahta hai chehre pe ujad zindagi ke lamhat ki an-ginat kharashen aankhon ke shikasta marqadon mein ruthi hui hasraton ki lashen sanson ki thakan badan ki thandak ehsas se kab talak lahu le hathon mein kahan sakat ki badh kar khud-sakhta pikaran ko chhu le ye zakhm-e-talab ye na-muradi har but ke labon pe hai tabassum ai tesha-ba-dast dewtao! takhliq azim hai ki khaliq insan jawab chahta hai