jin dinon main apni tanhai ka nauha likh raha tha bastiyan aabaad thin raunaq bhari thi sham aur jada gulabi taza taza shahr mein dakhil hua tha jin dinon main pa-pyaada aur phir sada zaban mein soz-ha-e-andarun ke qissa-e-parina ki tafsil mein tabir mein uljha hua tha bhediye aazad the aur ek qatil rag bajata ja raha tha khub-tar se khub-tar tha qatl ka naghma jis ne jo samjha wahi tarikh thi khwaja-sara-e-shahr darussaltanat mein karbala ke huzn mein ek wahshiyana raqs ki takhliq mein masraf tha aur sab tamashai sabhi maqtul sare dam-ba-khud mabhut khamoshi se sunte ja rahe the aur mausiqi se lag-bhag na-balad har shakhs agli saf mein baitha tal ki har gat par har jhankar pe behaal hota ja raha tha ek qatil aur surila rag bajata ja raha tha