ai shahr-e-rasan-basta kya ye teri manzil hai kya ye tera hasil hai ye kaun sa manzar hai kuchh bhi to nahin khulta kya tera muqaddar hai taqdir-e-fasil-e-shahr katba hai ki gul-dasta ai shahr-e-rasan-basta ab koi bhi khwabon par iman nahin rakhta kis rah pe jaana hai kis rah nahin jaana pahchan nahin rakhta shaer ho ki surat-gar baghon ki charaghon ki basti ke sajaane ka saman nahin rakhta jis samt nazar kije aankhon mein dar aate hain aur khun rulate hain yaadon se bhare daman lashon se bhara rasta ai shahr-e-rasan-basta muddat hui logon ko chup mar gai jaise thukrai hui khilqat jine ki kashakash mein ji haar gai jaise har sans khajil thahri bekar gai jaise ab gham ki hikayat ho ya lutf ki baaten hon koi bhi nahin rota koi bhi nahin hansta ai shahr-e-rasan-basta