mujhe mat batana ki tum ne mujhe chhodne ka irada kiya tha to kyun aur kis wajh se abhi to tumhaare bichhadne ka dukh bhi nahin kam hua abhi to main baaton ke wadon ke shahr-e-tilismat mein aankh par khush-gumani ki patti liye tum ko pedon ke pichhe darakhton ke jhund aur diwar ki pusht par dhundne mein magan hun kahin par tumhaari sada aur kahin par tumhaari mahak mujh pe hansne mein masruf hai abhi tak tumhaari hansi se nabard-azma hun aur is jang mein mera hathiyar apni wafa par bharosa hai aur kuchh nahin use kund karne ki koshish na karna mujhe mat batana