dard ki raat phir aa gai mere panw ki zanjir phir jaane mujh ko kahan le chalegi kabhi shahr ki nim-raushan si viran galiyan khamida si diwar ke sae sae main panw mein kankar chubhota chalunga kabhi chaudi chakki si bal khati sadkon ki hansti hui raunaqon mein sulagti hui khushbuon ki junun-khez lahron ke rele mein bebas udunga khuli barkon mein darakhton ke chamkile patton pe girti hui raushni mein kabhi chand ke nilgun sae mein baith kar dard ke tez kante nikalunga chup-chap bujhti hui raat ke aakhiri pahar mein sone bistar ki dasti hui naginon par main bhuke badan ko rulata rahunga