bol ai meri kitab tera chehra chumta hun tere mathe ke sukun mein dhundhta hun aaj phir qismat ka naqsh kholta hun kanpte hathon se sahraon ka darwaza purana jin ki ujli ret mein ugte hue moti hazaron chand tare aaftab muddaton se ek lamhe ke sukun mein kho gae thahre hue hain ek ungli ke ishaare ke liye main magar is sans ki zanjir mein hun maut ki mitti mera ye jism main is ki saza kaun se lafzon pe rakkhun hath jis se subh ki tahrir raushan ho meri aankhen khulen khushbu mile mujh ko hawa ki jo purane ghaar mein paida hui kis tarah guzre ye mere dukh ke mausam ka azab bol ai meri kitab