dast-e-shafqat kata aur hawa mein muallaq hua aankh jhapki to palkon pe thahri hui khwahishen dhul mein at gain shahr-e-bina ki sadkon pe na-bina chalne lage ek nadida talwar dil mein utarne lagi panw ki dhul zanjir ban kar chhanakne lagi aur qadam sabz-ru khak se khauf khane lage zehn mein ajnabi sarzamin ke khayalat aane lage sare na-bina ek dusre ka sahaara bane sar pe kanton bhara taj aur hath mein motiye ki chhadi tham kar dur se aane wali sada ke taaqub mein yun chal pade jaise un ka masiha isi samt ho jaise un ke masiha ki aankhon mein sirf un ki taswir ho jaise un ke khayalon mein khilti zamin un ki jagir ho