tab hazaron andheron se ek raushni ki kiran phut kar sard viran kamre ke tarik diwar-o-dar se ulajhne lagi aur kamre mein phirte hue saikadon zard zarre sadaon ke aaghosh par bilbilate sisakte hue meri jaanib badhe main ne apni shahadat ki ungli uthai zard zarron se goya hua dosto aao badhte chalen raushni ki taraf raushni ki taraf raushni jo hamari tamannaon ki pyas hai raushni ki taraf raushni ki taraf raushni jo hamari tamannaon ki pyas hai raushni jo hamari tamannaon ki aas hai zard zarre mere sath badhne lage raushni ki taraf raushni ki taraf chand zarre ki jin ki ragon mein siyah raat ki zulmaten bas chuki thin meri baaton pe hansne lage aur hanste rahe tab hazaron andheron ke sine mein phaila hua ek tilism raushni ki tab-o-tab se tutne ke liye aur aage badha