buildingen zishan unchi shah-rahon ke kinaron par khadi thin shahrahen aati jati gadiyon caron se pur thin qahwa-khanon parkon galiyon mahlon aur gharon mein zindagi mamul ki raftar se chalti thi lekin bahr ke sahil ki golai se ham-aghosh milon tak ye aabaadi ka maskan ek khamoshi ki rida odhe hue tha gung be-awaz gum-sum jaise logon ki zabanen kat gai hon gadiyon ka shor sadkon mein hi dafnaya gaya ho bildigon ki gahma-gahmi apna dam sadhe hue pamba-dahan ho sirf harakat ho magar la-saut gungi dusri jaanib samundar shor se aabaad badhta phailta wapas simatta harkat-o-awaz ka azali namuna shashdar-o-hairan sa shorida-sar pagal hawa se puchhta tha shahr ko kya ho gaya hai aur phir jaise jawaban bahr ki lahron se takraati hui pagal hawa ne koi jadu kar diya ho aur sahil par pade khamosh naquson ke andar bahr ke sare bilalon ki azanen phunk di hon aur un unchi azanon ne lab-e-sahil se uth kar shah-rahon qahwa-khanon parkon galiyon gharon ki khamushi ko ek uluhi saut ka malbus sa pahna diya ho aur yakayak shahr apni quwwat-e-goyai ki bakhshish ko phir se pa gaya ho buildingen zishan hain aali-nishan hain gadiyan caren tramen chal rahi hain qahwa-khanon parkon galiyon gharon mein shor-o-ghul hai zindagi hai shahr ab jaga hua hai