bahut ghaur-o-khauz ke baad bil-akhir talash khatm kar di gai is makan ki chobi sidhiyon ke nisf daere par jo hamari samt ka aakhiri hissa bataya gaya hai aur qali kar di gai un tamam diwar-gir andazon par jo hamein tod-marod kar likhte the alag kiye hue panw jo kisi ajnabi raste ka hissa nahin bane chamde ke juton mein saint kar rakh liye gae wo aankhen darwazon se utar kar makhmalin keson mein hifazat se rakh di gai hain jo kisi nae manzar ke frame mein puri nahin aa sakin in par phunka gaya sehr be-abaad gharon ko bataur-e-zakat de diya gaya ab un gharon se raaton ko hansne ki jinnati aawazen aati hain wo hath bandhe rah gae namaz ki ibtidai rakaton mein aur nafli ibaadaten musallon ke dilkash designon par ungliyan pherti rah gain aur hum jhad-phunk kar ek khandani talluq apne badan ke thailon mein sambhaal ke rakh chuke is liye tum hamein apni yaad-dasht ki sidhiyon se dhakka de kar khud ko nae sire se rasman tamir karo