shahr ke ek kushada ghar mein apne apne kaam sambhaale main aur ek meri tanhai hum donon mil kar rahte hain baaten karte rote hanste har dukh-sukh sahte rahte hain aaj ki jab suraj bhi nahin tha phulon ke khilne ka ye mausam bhi nahin tha aur falak par chand ke chha jaane ka hafta bit chuka tha darwaze ki ghanti ne wo shor machaya jis se pura ghar tharraya hum donon hairan hue ki aisa rahi kaun ruka hai jo is ghar ko apna ghar hi samajh raha hai khidki se bahar jhanka to bas ek khwab sa manzar dekha suraj bhi dahliz pe tha aur chand kiwad ki ot se lipta jhank raha tha phul khile the hum ne is mehman ko sar aankhon pe bithaya dil mein jagah di jo apne ham-rah sabhi mausam le aaya thaki hui tanhai ne mujh se thodi der ko mohlat mangi main ne us ko chhutti de di sath mein ye takid bhi kar di dekho kal tum apne kaam pe jaldi aana bhul na jaana ye rahi jo sare mausam le aate hain in ke raste sari duniya mein jate hain jis aangan mein chalna sikhen us aangan mein ruk nahin pate ruk jaen to thak jate hain