jab jhonka tez hawaon ka kuchh soch ke dhime guzra tha jab tapte suraj ka chehra udi chadar mein lipta tha jab sukhi mitti ka sina sanson ki nami se jaga tha hum log us sham ikatthe the jis ne hamein hans kar dekha tha wo pahla dost hamara tha wo sham ka pahla tara tha jo shayad hum donon ke liye kuchh waqt se pahle nikla tha jab jhilmil karta wo kamra cigaret ke dhuen se dhundla tha jab nashsha-e-mai ki talkhi se! har shakhs ka lahja mitha tha har fikr ki apni manzil thi har soch ka apna rasta tha hum log us raat ikatthe the us raat bhi kya hangama tha main mahw-e-mudaraat-e-alam aur tum ko zauq-e-tamasha tha mauzu-e-sukhan jis par hum ne rae di thi aur socha tha duniya ki badalti haalat thi kuchh aab-o-hawa ka qissa tha jab sab logon ki aankhon mein kamre ka dhuan bhar aaya tha tab main ne khidki kholi thi! tum ne parda sarkaya tha jis ne hamein dukh se dekha tha wo pahla dost hamara tha wo sham ka pahla tara tha jo shayad hum donon ke liye us raat sahar tak jaga tha wo sham ka pahla tara tha