shahr hansa aur hanste hanste ganw se bola suno suno unche hain minar mere bade bade bazar mere caren sab chamkili hain basen bhi nili pili hain mil bhi hain mashhur bahut mehnat-kash mazdur bahut ganw hansa aur hanste hanste shahr se bola suno suno faslen meri hari hari gehun ki baalin bhari-bhari log jo sidhe sade hain dharti ke shahzade hain sare ghar aabaad rahen basne wale shad rahen hum kahte hain donon hi tum apni jagah par sachche ho apni jagah par achchhe ho