shanakht us ke nam se thi jism ki bahaar se shanakht aaftab se thi zulf-e-abshaar se shanakht pairahan se thi ghazal-e-nur-bar se shanakht us ke shabnami fishaar aatishin se thi zamin-doz aasman-sifat khumar se khuli hui thi dur dur tak tabassumon ki surkh dhup tez raushni tamam shafqaton ki narm chandni malaik-o-nujum aaj sare be-murad ho gae shanakhten ujad gain sulagte baam-o-dar ke darmiyan shumar ho rahe hain sokhta burida jism reza reza kuchh makan wo be-shanakht ho gai wo khwab thi wo ek hasin nam thi wo nam se bichhad gai