ye sujhi hai kya aap ko shaikh sahab jo chup sadh li aap ne shaikh sahab lapeta tha nasir jab jab munh socha main ne mohabbat hi kamzor thi aap ki jo nahin rok pai use shaikh sahab sajila tha gul aap ke bagh ka sab se wo shaikh sahab gaya wo gai bazm-e-yaran ki raunaq gai us ki khushbu tarannum se khali hui shairi guftugu mein maza na raha shaikh sahab mujhe ilm tha ki chhupate hain gham aap apna magar aap ko main bahut sakht-jaan jaanta tha bhai aql-e-kul manta tha kaha aap ka go nahin manta tha kahan to ye dawa ki sau sal ki umr hogi hamari kahan ab yakayak batae bina chal diye aap nasir se milne akele mein dil aap ka bhi kahan lagta hoga kitaben khwah quran hi kyun na ho dosti ka badal to nahin shaikh sahab wafa ke taqaze kiye aap ne sare pure meri wapsi ke rahe muntazir aakhiri sans tak aap to shaikh sahab na toda kabhi yaad ka mujh se rishta dhar mein jise mil na paya kabhi rasta wapsi ka bahut zor mara ki main laut aaun karun aa ke aabaad wo bagh-e-hikmat chamakte the jis mein misal-e-mehr aap hi shaikh sahab masail ke jangal mein gum ho gaya main siyasat ke kambal ko jitna bhi main chhodta wo nahin chhodta tha mujhe shaikh sahab mujhe ab chala hai pata ki mohabbat na kamzor thi aap ki shaikh sahab bulawe pe nasir ke yun chal diye aap uth kar mohabbat thi kamzor meri bulate rahe aap barson mujhe main na aaya bahut der kar di hai aane mein be-shak magar ab mein aaya ki aaya zara do ghadi intizar aur ghaalib se mil lun bahut kuchh hai kahna unhen aap se shaikh sahab main paigham le lun sakina se mariyam se anwar se rukhsat mein ho lun gale se ibrahim ko main laga lun main aaya ki aaya khuda ki qasam shaikh sahab