ye dard-e-zindagi kis ki amanat hai kise de dun koi waris nahin is ka mata-e-raegan hai ye masiha ab na aaenge yahi nashtar rag-e-jaan mein khalish banta rahega meri sanson mein nihan hai ye khudaya hum se pahle log bhi jo is zamin par the yunhi pamal hote the, jo is ke baad aaenge umid-e-subh ke khanjar se zakhmi ho ke jaenge? (kahan ja kar rukega qafila in sogwaron ka) ye phir bhi tere bande hain teri hi hamd gaenge inhen aankhen to de di hain basarat bhi inhen de de tujhe sab dhundte hain is tarah andhe hain sab jaise isi kore waraq par kuchh ibarat bhi unhen de de khada hai munh kiye mashriq ki jaanib, koi maghrib ki (miri taswir mein in chikhte rangon ki aisi kya zarurat thi) khudaya bakhsh de in be-gunahon ke gunahon ko ye mani dhundte hain kashmakash mein raat aur din ki haqiqat ko samajhna chahte hain sal aur sin ki ye sab majbur hain in par dar-e-tauba khula rakhna ye duniya khauf aur lalach pe jis ki niw rakkhi hai isi mitti se phute hain isi dharti ke pale hain ujala bhi yahi hain is zamin ka aur andhera bhi yahi shahkar hain tera yahi panw ke chhaale hain (ye sab ke sab libas-e-fakhira mein maili bheden hain) ilah-al-alamin in ki khata se dar-guzar karna bahut mazur hain ye khud-nigar apni jibillat se muqaddar in ka hai sham o sahar ko roz sar karna masai in ki sim-o-zar ke dheron mein badal dena tere pas aaen, moti ke mahl mehnat ka phal dena