wo pul ki satwin sidhi pe baitha kahta rahta tha kisi thaile mein bhar ke gar khayal apne main darwaze pe harkare ki surat ja ke pahunchata chamakti bunden barish ki kisi ki jeb mein bhar ke gale mein baadalon ka ek muflar dal kar aata wo bhiga bhiga sa rahta kisi ke kan mein do baaliyon se chand pahnata machheron ki koi ladki agar milti garajte baadalon ko bandh kar baalon ke jode mein dhanak ki bini de aata mujhe gar kahkashan ko bantne ka haq diya hota khuda ne to koi footpath se bola ai aulad shair ki bahut khai hain rukhi rotiyan main ne jo la sakta hai to ek bar kuchh salan hi la kar de