ai ishq-e-azal-gir o abad-tab mere bhi hain kuchh khwab mere bhi hain kuchh khwab us daur se is daur ke sukhe hue dariyaon se phaile hue sahraon se aur shahron ke viranon se virana-garon se main hazin aur udas! ai ishq-e-azal-gir o abad-tab mere bhi hain kuchh khwab! ai ishq-e-azal-gir o abad-tab mere bhi hain kuchh khwab mere bhi hain kuchh khwab wo khwab ki asrar nahin jin ke hamein aaj bhi malum wo khwab jo aasudgi-e-martaba-o-jah se aaludgi-e-gard-e-sar-e-rah se masum jo zist ki be-huda kashakash se bhi hote nahin madum khud zist ka mafhum! ai ishq-e-azal-gir o abad-tab ai kahin-e-danish-war o aaali-guhar o pir tu ne hi batai hamein har khwab ki tabir tune hi sujhai gham-e-dil-gir ki taskhir tuti tere hathon hi se har khauf ki zanjir ai ishq-e-azal-gir o abad-tab, mere bhi hain kuchh khwab mere bhi hain kuchh khwab ai ishq-e-azal-gir o abad-tab kuchh khwab ki madfun hain ajdad ke khud-sakhta asmar ke niche ujde hue mazhab ke bana rekhta auham ki diwar ke niche shiraaz ke majzub-e-tunak-jam ke afkar ke niche tahzib-e-nigun-sar ke aalam ke ambar ke niche kuchh khwab hain aazad magar badhte hue nur se marub ne hausla-e-khub hai ne himmat-e-na-khub gar zat se badh kar nahin kuchh bhi unhen mahbub hain aap hi is zat ke jarub zat se mahjub! kuchh khwab hain jo gardish-e-alat se juyanda-e-tamkin hai jin ke liye bandagi-e-qazi-e-hajat se is dahr ki tazin kuchh jin ke liye gham ki musawat se insan ki tamin kuchh khwab ki jin ka hawas-e-jaur hai aain duniya hai na din! kuchh khwab hain parda-e-anwar magar un ki sahar gum jis aag se uthta hai mohabbat ka khamir us ke sharar gum hai kul ki khabar un ko magar juz ki khabar gum ye khwab hain wo jin ke liye martaba-e-dida-e-tar hech dil hech hai sar itne barabar hain ki sar hech arz-e-hunar hech! ai ishq-e-azal-gir o abad-tab ye khwab mere khwab nahin hain ki mere khwab hain kuchh aur kuchh aur mere khwab hain kuchh aur mera daur khwabon ke nae daur mein ne mor o malakh ne asad o saur ne lazzat-e-taslim kasi mein na kasi ko hawas-e-jaur sab ke nae taur! ai ishq-e-azal-gir o abad-tab mere bhi hain kuchh khwab! har khwab ki saugand! har-chand ki wo khwab hain sar-basta o ru-band sine mein chhupae hue goyai-e-doshiza-e-lab-khand har khwab mein ajsam se afkar ka, mafhum se guftar ka paiwand ushshaq ke lab-ha-e-azal-tishna ki paiwastagi-e-shauq ke manind (ai lamha-e-khursand) ai ishq-e-azal-gir o abad-tab, mere bhi hain kuchh khwab wo khwab hain aazadi-e-kaamil ke nae khwab har sai-e-jigar-doz ke hasil ke nae khwab aadam ki wiladat ke nae jashn pe lahraate jalajil ke nae khwab is khak ki satwat ki manazil ke nae khwab ya sina-e-giti mein nae dil ke nae khwab ai ishq-e-azal-gir o abad-tab mere bhi hain kuchh khwab mere bhi hain kuchh khwab!