shair ka dil

muddai tu ne abhi dekha nahin shair ka dil
jalwa-ha-e-rang-o-bu hote hain jis mein muntaqil

dil nahin ek mustaqil aaina hai jazbaat ka
aks khinch aata hai jis mein sare maujudat ka

kaun shair jis ka sina mahram-e-raaz-e-hayat
kaun shair jis ke qalib mein hai ruh-e-kaenat

tarjuman-e-kun-fakan jis ka lab-e-ejaz hai
jis ki hasti par yahan qudrat ko sau-sau naz hai

kahiye jis ki quwwat-e-takhil ko aafaq-gir
arsh-o-farsh-o-kursi-o-lauh-o-qalam jis mein asir

sau tarah ke soz-e-pinhan jis ke har ek saz mein
husn jaise karwaten leta hai khwab-e-naz mein

dar use kya intiqam-e-gardish-e-ayyam se
jo yahan waqif hai har aaghaz se anjam se

gunjta hai zindagi ka git jis ke rag mein
jo hamesha kud padta hai parai aag mein

jis ka mazhab amn-jui jis ka mashrab sulh-e-kul
jis ke naghmon ki latafat hai jawab-e-barg-e-gul

jis ki tar-damaniyan behtar hain zohd-e-khushk se
fikr ki khushbu hai jis ki tez bu-e-mushk se

tutna koh-e-giran ka jis ke aage be-waqar
tut kar shishe ka tukda jis ko kar de be-qarar

ahl-e-zahir kab samajh sakte hain ye raaz-o-niyaz
ashk hai jis ka wuzu aur dard hai jis ki namaz

dal kar shoalon mein is ko koi kar le is ki jaanch
jism to jal jaega par aaegi dil par na aanch

zauq-e-irfan hai tujhe to ja kisi shair se mil
muddai tu ne abhi dekha nahin shair ka dil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close