mahram-e-shabnam rafiq-e-lala-e-sahra hun main ham-nashin-e-yasmin-o-nargis-e-shahla hun main chand aur suraj ka hamdam hun falak-paima hun main aaj tak mahw-e-talash-e-fitrat-e-kubra hun main barbat-e-qudrat ke naghme ishrat-e-dauran ke rag kya bujha sakte hain mere sina-e-sozan ki aag khak se paida hue gulha-e-tar mere liye os ki bunden nahin lal-o-gohar mere liye hai jahan mein husn-e-fitrat jalwa-gar mere liye rang-o-nighat kaif-o-kam taj-o-kamar mere liye hai azal se mere pahlu mein dil-e-momin nihad meri nazren tod deti hain tilism-e-barq-o-baad zalzale hon ya kawakib sab mere zer-e-nagin khol sakta hun main qufl-e-asman bab-e-zamin mera dil ratl-e-giran meri nigahen durbin mere qadmon par jhukai mah-paron ne jabin ishq-o-masti ka rabab-e-zar-fishan rakhta hun main aastinon mein yad-e-baiza nihan rakhta hun main bhar diya main ne ayagh-e-lala mein khun-e-bahaar jabir-o-sarkash anasir par hai mera ikhtiyar hain mere ashaar dast-e-ghaib ke naqsh-o-nigar huryan-e-khuld ko ab tak hai mera intizar zulmat-e-afsurda ko main ne ata ki hai chamak bijliyon ke dosh par karta hun main sair-e-falak is tarah kohsar se aati hai ju-e-narm-rau abr ke rauzan se goya jhankta hai mah-e-nau