ho gain viran irfan-o-yaqin ki jannaten khuld-zar-e-hind ko dozakh-nishan pata hun main fitrat-e-hasti koi sahra-e-nau ijad kar wusat-e-alam ba-qadr-e-yak-fughan pata hun main chal gaya fikr-o-nazar par maddiyyat ka fareb aadmi ko maut ki jaanib rawan pata hun main rahzan pahne hue hain ab libas-e-rahbari nur ke sae mein zulmat ko jawan pata hun main marhaba ai aatish-e-dil aafrin ai soz-e-ishq har-nafas mein ek hayat-e-jawidan pata hun main baatin-e-zulmat mein hain suraj ki kirnen be-qarar raat ko hangama-paira-e-sahar pata hun main fash kar deta hai ek naghma mughanni ka maqam aaine mein jauhar-e-aina-gar pata hun main rang-mahlon mein ghazal-khwan hain amiran-e-kibar khak par faqa-kashon ko nauhagar pata hun main koi chandi ka pujari koi sone ka ghulam aadamiyyat ko asir-e-sim-o-zar pata hun main talkh thi mere liye kal tak sharab-e-zindagi ab sharab-e-zindagi ko talkh-tar pata hun main