hota hun jab main tanha ye sochta hun aksar aabaadiyan hain achchhi ya jangalon ke manzar shair hun main mera ho maskan alag jahan se shahron ke shor-o-ghul se tarik aasman se sae mein ped ke main bistar lagaun apna thandi hawa ho aati bahta ho saf dariya ranginiyan shafaq ki dil ko mere lubhaen shams-o-qamar jahan ke qisse nae sunaen qudrat ka ham-zaban hun aur us ke bhed paun gahraiyon mein us ki goya utar main jaun 2 par aql ka hai kahna ye sab ghalat hai nadan gungi hai teri qudrat manzar hain us ke be-jaan be-kar hai agar to dasht-o-jabal basae be-sarfa hai agar to hamdam unhen banae shair tujhe hain kahte hai ishq tera jina fitrat hai pak teri hai qalb-e-tur-e-sina tu nur-e-sarmadi ki hai jhalkiyan dikhata insan ko aasman ki sairen hai to karaata tera qalam jahan mein halchal si dalta hai dube ubhaarta hai girte sambhaalta hai 3 par kyun tujhe ai shair basti se hai kudurat aabaadiyon mein pal kar aabaadiyon se nafrat insan aur us ki fitrat parkhi nahin hai tu ne aalam aur us ki wusat pai nahin hai tu ne matam kahin bapa hai khushiyan kahin hain hoti iqbaal hai kahin to qismat kahin hai soti jo ek taraf qaza ke tufan aa rahe hain tu ek taraf sahab-e-rahmat bhi chha rahe hain tera hai rutba aali is bazm-e-zindagi mein aa aa sharik ho ja is razm-e-zindagi mein aalam ko ghata de aasaishen badha de sham-e-sukhan jala kar sab zulmaten hata de aa kab se muntazir hai aadam ka ye gharana aabaad is mein ho ja teri yahi hai duniya