shair

tu faqat jism ke zakhmon pe tadap jata hai
main har ek qalb mein sau zakhm-e-nihan pata hun

tu faqat rang ka diwana hai bu ka shaida
main rag-e-gul mein bhi bulbul ka lahu pata hun

tu faqat dil ki tadap rakhta hai sine mein nihan
main tadapta bhi hun aur tujh ko bhi tadpata hun

tu faqat chalta hai manzil tujhe malum nahin
main tujhe rah-e-amal baith ke dikhlata hun

tujh ko insan ki baaten bhi samajhna hai muhaal
main har ek shai mein takallum ki ada pata hun

masjid-o-mimbar-o-mehrab ka paband hai tu
main har ek zarre mein tanwir-e-khuda pata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close