suKHnawar

sukhnawaro
mere ham-asro

meri umr ke shairo
koi to aisi ghazal kaho

koi to aisi nazm likho
jise sun kar tumhaare shair hone ka subut mile

tumhein zi-fahm hone ka khitab mile
kabhi to khaliq the aaj makhluq hain hum

kabhi to hakim the aaj mahkum hain hum
kabhi to qatil the aaj maslub hain hum

'ghaalib'-o-'mir' ne ishq-e-butan par apni nazar rakkhi
iqbaal ne qadmon ke tale

qatil ki zaban rakkhi
taraqqi pasandon ne mazdur ke hisar buland kiye

khud to rahe buland-bang mahlon mein
jhonpadiyon ke fasane tahrir kiye

jadidiyat ka taqaza hai dard-o-gham zat
tanhai bebasi alamnaki

uktae hue log
na mohabbat na sukun na dosti na dushmani

na kahin qarar
har su zindagi se farar

yahi mazamin-e-nau hain
mere ahd ke qalam-karo

tum in pe bhi apni nazar rakkho
likho hikayat-e-khun-chakan

warna khud ko shair na kaho
apne hathon se qalam rakh do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close