ek mukammal zindagi hai shair-e-shirin-bayan mahram-e-raaz-e-fana hai aur baqa ka tarjuman us ki hasti ki hai qimat ek nigah-e-iltifat hech khuddari ke aage hain zamin-o-asman wo kahin majbur-e-mutlaq hai kahin mukhtar-e-kul husn ka be-dam banda warna hai shah-e-jahan kham jabin hoti hai us ki naqsh-e-pa-e-dost par aur jhuk jate hain us ke panw par donon jahan us se poshida nahin hain raaz-ha-e-husn-o-ishq tarjuman hai ahl-e-ulfat ka wo sirr-e-dil-baran phul barsata hai apne doston ki bazm mein aur giraata hai saf-e-aghyar par ye bijliyan us ke nazuk qalb mein milta hai mazlumon ka dard be-kason ka hai wo hami be-zabanon ki zaban fitratan aazad be-khauf-o-khatar bebak hai zindagi deti hain us ko zindagi ki talkhiyan dil ke tufan mein qalam us ka hai kashti nuh ki aur hai us ka tasawwur ek bahr-e-be-karan qalb us ka mulk ke haalat ka aaina-dar qaum ke jazbaat ki tashhir hai us ka bayan din hai us ka mohabbat us ki duniya shaeri hai tashaddud ka mukhalif hami-e-amn-o-aman ai 'shifa' un ko magar shair na kah dena kahin bazm mein la kar jo padhte hain kalam-e-digaran