shahidan-e-azadi

wo parastaran-e-azadi shahidan-e-watan
zinat-e-hindostan hona tha jin ka bankpan

is watan ke waste kya kya sahe ranj-o-mehan
naz ke qabil hai un ki jaan-nisari ka chalan

khun se sincha watan ki sar-zamin-e-pak ko
martaba iksir ka bakhsha yahan ki khak ko

zist ki har ek neamat mulk par qurban thi
rahnuma ke ek ishaare par tasadduq jaan thi

khun daman par na tha un ki yahi pahchan thi
ghaziyan-e-hind ki sab se nirali shan thi

ye sitam-garon ko ulfat ka sabaq de kar gae
jin ko marna chahiye tha un ke badle mar gae

jab hui mahsus aazadi ki un ko ehtiyaj
aur un farman-rawaon se kiya jab ehtijaj

taish se tharra gaya bartaniya ka samraj
zulm se us ke hua bedar phir sara samaj

mulk mein khola unhon ne jang-e-azadi ka bab
samraji zulm jis se ho gaya phir be-naqab

goliyan kitni chalain jaliyan wale bagh par
zulm phir dhae awadh ki begamon ko mar kar

tin din kis tarah faqe se rahe shah-e-zafar
tisre din tasht par lae gae beton ke sar

zulm ki tarikh-e-khunin se hain go nashad hum
aaj ke din fakhr se karte hain un ko yaad hum

aur is ke ba'd bhi qurbaniyan dete rahe
phir bhagat singh aur sathi us ke suli par chadhe

sar pe lala-lajpat rae ke bhi dande pade
bose babu mulk se bahar hi ja kar mar gae

aur lakhon mar gae jin ke nahin malum nam
aaj hum karte hain un sare shahidon ko salam

rang laya hai bil-akhir un shahidon ka lahu
ho gai aazad ho jaane ki puri aarzu

aur hain takmil-e-azadi ke charche chaar-su
ek din ban jaega ye mulk jannat hu-bahu

khwab dekha tha unhon ne us ki ye tabir hai
mulk mein jari har ek unwan se tamir hai

un ki azmat se sabaq len aaj ahl-e-eqtidar
kursiyon par baith jaane se nahin milta waqar

hukmrani chhod kar ban jaen wo khidmat-guzar
nam un ka jaan-nisaran-e-watan mein ho shumar

jis mein ho matlab-parasti zist wo nakaam hai
zindagi aakhir 'shifa' qurbaniyon ka nam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close