agar mujhe akela nahin dekh sakte to rahne do isi tarah udas ye to mat kaho ki hamare kamre mein rakkhi hui sab se aakhiri kursi par baith jao ya hamare juton ke pas khade ho kar muskuraate raho ya purana furniture chamkane wali polish ke liye ek nai nazm likh do main wada karta hun ki kisi baadal kisi phul kisi hawa kisi sitare ya phir kisi khamoshi mein jahan bhi jagah milegi baith jaunga ya is kamre se bahar ja kar barish mein khada rahunga