khun mein dubi hui shairi gham se wabasta ek naghmagi sard hoti hui zindagi zindagi jaan ghulati hui aagahi ek bujhte hue khwab ki raushni khubsurat dukanon ke aarasta shelf mein la ke aakhir saja di gai yani bikne bikne ki shai hi bana di gai likhne wale ka ehsas apni jagah par tijarat ke apne taqaze bhi hain zehn ka ghunt ho ya ki tiryaq ho nirkh-e-bazar ki nisbaton se sabhi ek sajawat banawat ke paband hain dekhiye roz-o-shab kis qadar shauq se dard ki samt badhte hain gahak ke hath zakhm bikte hain kitne saliqe ke sath