chalo musafir, udas shamon ki rahguzar mein sitare, dhunden chhalakti aankhon mein zindagi ke jo bach gae hain wo khwab dhunden bhatakti galiyon mein aablon ke gulab dekhen pahad sochon mein sabz rangon ke khwab dekhen chalo musafir nishan-e-manzil jo khwab sa hai, jo aarzuon ka hadsa hai usi ke raste mein kahkashaen bikher den hum baqa ke raste mein khema-zan hain, khata ke lashkar, fana ke lashkar chalo musafir fana ke ghar se baqa ki manzil utha ke laenge hikayaton mein haqiqaton ka mizaj bhar den kisi ke ghar mein andhere ghar mein charagh rakh den chhalakti aankhon mein khwab rakh den