main ne jad se ukhadna chaha us shajar ko jise mohabbat se main ne khun de ke apna pala tha meri aankhon ka jo ujala tha jab na ukhda to main ne us ka tana tez aare se katna chaha aah lekin buland chikh us ki mere kanon ne dil-kharash suni us se chhuta lahu ka fawwara mere aangan mein aaj bhi hai khada wo shajar ab zamin mein us ki jaden aur gahri hain pher ke munh use karahat se roz main apna khun deta hun shakh ke hath se samar us ka talkh nafrat ke sath leta hun