yun guman ho raha hai mere nadim jaise ab gulsitan mein rang nahin jaise ab dil mein kuchh umang nahin aasman badliyon ki zad mein hai zard-alud hain fazaen bhi surkh suraj ki kapkapati kiran chhu rahi hai ufuq ke sae ko phailti ja rahi hai shab ki lakir sehn-e-zindan ke chaar-payon par dubti meri khwabida aankhen dekhti jati hain purane khwab guzre ayyam ke adhure khwab zindagi se bhare sisakte khwab dast-o-bazu hain kitne pazh-murda nabz-e-hasti hai kitni aahista ek dil hai ki dhadke jae hai jaise girdab ta-safina koi