ai bi-bi hawwa hum tere bachche tujh se bichhad ke bashri samundar ke pai-dar-pai thapedon se dur aur bhi dur ho gae hain bhid mein kho gae hain tumhaare hamare darmiyan tha jo harf-e-shirin ka qissa wo dard-ashna lamha, wo mamta se labrez rishta is rishte ki dor se bandhe hum khalaon mein hachkole kha rahe hain patangon ki manind nanhe bachche ke hathon se jun chhut jae ghubaron ki dor aur bikhar jaen jaise aasman ki napaid bulandiyon mein sabhi hum bhi, un hi ghubaron ki tarah ai bi-bi hawwa tujh se bichhad ke bhatakte rahe hain har lamha is ulajhti bhul-bhulayyon si duniya mein ji rahe hain kisi taur teri mamta ki chah mein, aas lagae shayad khuda ko hum par bhi kabhi taras aa jae aur naf ke is uljhe hue rishte ka sira dobara kahin ja ke phir tujh se mil jae shayad phir koi duniya kun-fa-yakun se khalq ho jae! jahan bagh-e-bahisht ke makin hon aur hum hon jahan iblis ka na ho guzar jahan shaitan ka na dar ho jahan amn-o-ashti ho tamam! ai kash! apna bhi aisa ghar ho shajar-e-mamnua se pare