koi aag piye ki zahr piye ya sanp dase ki maut mare ab dhup ke jal-thal dariya se koi apne munh mein ret bhare hum ne to piyala ulat diya aur ulat diya har ek manzar jab sham ki aanhken khun huin aur budla boti boti thi ye basti zulm ki zulmat mein tab kachchi dhup chabaati thi aur dariya piti jati thi miswak zamin mein gad di hai ab raat se raat nikali hai aur aag mein dali mast dhamal aur rakh mein rakh mila di hai ab khair ki khatm hui ummid ab phanko ret aur dhup piyo ya sanp dase ki maut maro hum ne to piyala ulat diya aur sabr ki chadar tah kar di