is tarah aaj phir aabaad hai virana-e-dil ki hai labrez mai-e-shauq se paimana-e-dil dil-e-betab mein pinhan hai har arman-e-nazar chashm-e-mushtaq mein hai surkhi-e-afsana-e-dil aaj shamon se ye kah do ki khabar-dar rahen aaj bedar hai khakistar-e-parwana-e-dil is ko hai ek faqat dekhne wala darkar tur se kam to nahin jalwa-e-jaanana-e-dil jag bhi khwab se ai mashriq o maghrib ke hakim ki tere waste laya hun main nazrana-e-dil ye zara dekh ki aae hain kahan se donon dil teri khak ka diwana main diwana-e-dil shauq ki rah mein ek sakht maqam aaya hai mera tuta hua dil hi mere kaam aaya hai saqi-e-jaan tere mai-khane ka ek rind-e-haqir misl-e-bu tod ke har qaid-e-maqam aaya hai allah allah teri bazm ka ye aalam-e-kaif mere hathon mein chhalakta hua jam aaya hai tere nam aaj zamane ke mahakte hue phul 'ghaalib' o 'mir' ke gulshan ka salam aaya hai wo meri hasrat-e-derina ka shahbaz-e-jalil kitni muddat mein bil-akhir tah-e-dam aaya hai tujh ko bhi dil mein basaya hai jo 'iqbaal' ke sath to kahin ja ke ye andaz-e-kalam aaya hai kyun tujhe ye abadi nind pasand aai hai ai ki har lafz tera shan-e-masihai hai saqi-e-mai-kada-e-zist zara aankh to khol teri turbat pe siyah mast ghata chhai hai jag bhi khwab se dil-dada-e-gulzar-o-chaman ki tere des ki baghon pe bahaar aai hai jo tere ghar mein hai aaj us chamanistan ko to dekh zarre zarre ko junun-e-chaman-arai hai 'hathaway' ka hai makan wo ki maqam-e-nau hai jo bhi khitta hai wo ek paikar-e-zebai hai kuchh khabar bhi hai ki aiwan ki hasin maujon mein jo tere daur mein thi ab bhi wo ranai hai wo tera naghma ki sinon mein tapan aaj bhi hai ahl-e-ehsas ka sarmaya-e-jaan aaj bhi hai rind hain mashriq o maghrib mein usi ke mushtaq wo tera baada-e-kohna ki jawan aaj bhi hai aaj bhi kaba-e-arbab-e-nazar hai teri fikr wirsa-e-ahl-e-junun tera bayan aaj bhi hai aaj se chaar sadi qabl jo chamka tha kabhi tere naghmat mein wo soz-e-nihan aaj bhi hai jis mein hai baada junun ka bhi mai-e-hosh ke sath tere hathon mein wahi ratl-e-giran aaj bhi hai tu ne tamsil ke jade pe dikhaya jo kabhi wahi mil aur wahi sang-e-nishan aaj bhi hai zulmat-e-dahr ki raaton mein sahar-bar hai tu zist ek qafila hai qafila-salar hai tu tu har ek daur mein hai dida-e-bina ki tarah har zamane mein dil-e-zinda-o-bedar hai tu jis ki baaton mein dhadakta hai dil-e-asr-e-rawan aaj tamsil-e-zamana ka wo kirdar hai tu kyun na ho lauh o qalam ko tere uslub pe naz hasan-e-guftar hai ganjina-e-afkar hai tu bazm-e-jaanan ho to andaz tera phul ki shakh zulm ke samne shamshir-e-jigar-dar hai to tu kisi mulk kisi daur ka fankar nahin balki har mulk ka har daur ka fankar hai tu