'azad'! zara dekh tu ye aalam-e-arzang mausam ke ye andaz bahaaron ke ye nairang ye husn, ye tartib, ye tazin ye aahang daman-e-khirad chaak hai daman-e-nazar tang har zarra hai daman mein liye tur ki duniya har baat mein ek baat hai har rang mein sau rang ai ruh-e-bashar! tujh se hain donon mutakallim sabze ki khamoshi hai ki jharnon ka hai aahang ab chhod bhi afsurdagi apni dil-e-nadan ab phul bhi ho khil ke tu ai ghuncha-e-dil-tang har shai se huwaida hai jhalak husn-e-azal ki zarra hai ki tara hai shagufa hai ki hai sang sab aks tere aks hain ai surat-e-pinhan sab rang tere rang hain ai hasti-e-be-rang ai dekhne walo! ye zara baat to dekho patte hain shafaq-rang to patthar hain saman-rang sab kuchh ye baja hai magar ai husn-e-gurezan ai tu ki teri chaal pe qurban jaman o gang is rah mein gar sath tera ho na mayassar liddar faqat aawaz hai gul-marg faqat rang