suno ye nazm kabhi nahin ho sakti aur tum jaante ho jab jazbe adhure rah jaen to zaminen banjar ho jati hain waqt guzra kahan zakhm waise hi abhi riste hain dil bhar aaya us jagah jahan mohabbat na-mohabbat se mili jab wajud ek sawal bana jab ruh ne jism ka sath chhod diya jab duaon mein tasir na rahi qadam badhe to bahut khulus se the jaante the ki rah kathin hai safar dushwar hai bas ek aas thi ki ye safar raegan to nahin hum akele to nahin hamare sath chalne ki chah mein hamara safar bhi hai magar nahin jaante the ki hum to apne aap se juda ho gae hum na jaan sake ki mitti se wo mahak hi uth gai jo dil ko dil se milati hai so ab tak likhi gai har nazm na-mukammal hi to hai kisi pir-dana ne kaha tha bahut si nagawar aawazen tumhaare dhyan ko bhatkaegin magar tum pichhe mud ke mat dekhna warna patthar ke ho jaoge so ai pir-dana main nahin dekhti pichhe mud ke jab aawazen mere dil ko hadaf banati hain main jaanti hun ye aawazen mujhe tang karne ke liye hain ye mujhe rokna chahti hain aage badhne se duniya ke har bure maqsad ke aade aati hain ye aawazen ye kanton bhari aawazen jo lahuluhan kar deti hain khulus bhare dil ko jaise kholta hua pani jala deta hai khaal ko aise hi jalaya hai in aawazon ne duniya se har ehsas ko lekin main ne bachaya apne sach ko aur chalti ja rahi hun sab se alag sun ke anjaan rahne ka amal kuchh itna aasan to nahin bas ek diwangi hai jo mujhe bechain kiye hue hai ek ajab si khoj hai jo ghutan ban gae hain sans lene ke amal mein magar tu kahan hai pir-dana to jo rahnuma tha musibat ke maron ka kahan bhatak raha hai to kya kal yug ki wo ghadi aa gai ki pir-dana ko shikar kar le gain na-gawar aawazen afsos-sad-afsos