targhib

pyare suraj
tum to apna chehra

aasman par tairte taron ke aainon hi mein dhundte rahte ho
par meri bhi ek baat suno

ye jo aankh mein raushan tare hain
aur ye jo galon par bahte hue tare hain

aur ye jo phul phul ki patti patti par thahre hue tare hain
aur ye jo ret se jhankte tare hain

aur ye jo nadiya ki lahron par nachte aur nahate tare hain
ye tare bhi aaine hain

aur meri zamin ke ye aaine
pyare sirf tumhaare hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close