main kahta hun ki tu meri nahin koi to kahti hai ki tu mera nahin koi hawa mein rang hai khushbu hai main kahta hun khushbu hai hawa mein rang hai to bhi ye kahti hai chahakti sham ki chidiyon ki aawaz-e-musalsal mein sitara sham ka mujh ko bulata hai to tera nam leta hai sitara sham ka tujh ko bulata hai to mera nam leta hai magar donon ye kahte hain sitara koi bhi chamka nahin ab tak kahan ka nam aur kis ko bulana aur phir to mujh se kahti hai ki duri ki hadon par teri sansen meri sanson se nahin uljhin main kahta hun ki duri ki hadon par teri sansen meri sanson se nahin uljhin kabhi hum nind mein baaten karen ek dusre ke pas hon ya khwab ki diwar par baithe hue ek dusre ke ghar mein jhanken phir kahin kuchh bhi nahin tha to kahin thi main kahin tha aur kabhi hathon mein hath aur ek masafat ho kabhi jangal ki pani ki kabhi donon hawa mein tairte hon aur yak dam chaunk jaen aur kahen kya hath aur kaisi masafat kaise jangal kaisa pani sath chalna khwab hai sab khwab hai sab khwab bhi to ek haqiqat hai to phir inkar kar den khwab ka maujud ka aur dur ka inkar sab inkar kya hum hain kahan hain kyon hain kya kuchh mawara hai ya yahi sab hai magar kuchh bhi nahin khulta ki hum wo qufl hain jis par samay ka zang badhta jaega paiham kabhi donon ye manen dil ke rishte khun se badh kar hain magar dil ko tatolen aur kahin kuchh bhi nahin milta tu mere waste pagal ho aur main teri khatir hun magar duniya to kya phir khud se bhi sharmindagi ho hae main tere liye pagal thi main tere liye kab tha kabhi hum jagne sone ki ek kaifiyyat-e-be-tarah mein roen hansen aur aasman si khamushi mein lipte dekhe jaen baham aur rasai ke badhe hathon se takrae koi diwar shaffaf aur nadida to hum donon kahin to thik hai apni jagah tu bhi ki tu meri nahin koi ki tu mera nahin