shaKHsiyyat ki mausiqi

wo qubul-surat si
sanwli bhali aurat

thoda ruk ke dekhen to
kitni khubsurat hai

us ke narm lahje mein
us ki soch ki khushbu

us ke zauq-e-poshish mein
halke halke rangon ke

intikhab ka jadu
fikr ki jawan kirnen

us ki rup-rekhaen
ankhdiyon mein kuchh khake

muztarib khayalon ke
ungliyon mein rachnaen

naghma-e-takallum mein
zer-o-bam kai ghaltan

zarf aur zarafat ke
zer-e-lab tabassum se

khul ke muskurane tak
pech-o-kham kai larzan

ikhtiyar-o-adat ke
sadgi mein chehre ki

shama ek farozan si
aanch dard-mandi ki

lau kisi bulandi ki
junbish-e-rawish us ki

narm-gam o aahista
ek jahan-e-ranai

har nigah-e-shaista
kaif mein latafat ke

tez hissiyat shamil
tegh se zehanat ki

us ki har ada qatil
wo qubul-surat si

sanwli bhali aurat
thoda ruk ke dekhen to

kitni khubsurat hai!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close