banjar chehre jin par na barish ki pahli bund ka izhaar ugta hai na aate jate lamhon ka koi iqrar inkar na itminan na dar aankhen jin mein koi nigah palkon se nahin ulajhti baqi hawas bhi khushbu aur khushbu ki shohrat se aawaz aur aawaz ki quwwat se yaksar aari hain kaun hain ye log kis mauj-e-fuzuliyat ki zad mein aa gae hain chup khade hain aur hum din bhar mein shahr ke sare farishton aur shaitanon se mil kar laut aate hain magar ye chup khade hain na qael hote hain na zail! in se hamara talluq abhi tak wazeh nahin hua talluq is liye ki hum mazdur hain aur ye jaanne ka ishtiyaq rakhte hain hamein kya kaam milega in ke liye tower banane ka ki in ke liye qabren khodne ka!