sham

suraj duba hua andhera
chidiyan lene lagin basera

din ka ghaeb hua ujala
tariki ne parda dala

jalne lage diye ghar ghar mein
girja masjid aur mandar mein

puja mein hai dhyan mein koi
khane ke saman mein koi

charkh-e-barin par chamke tare
be-roghan hain raushan sare

halka halka nur hai in ka
basti se ghar dur hai in ka

bachche nind mein ghafil ho gae
lori sunte sunte so gae

jangal se ghar gwale aae
rewad apna sanbhaale aae

ja pahunche mazdur gharon mein
khush khush hain biwi bachchon mein

din bhar kab aaram liya hai
khun pasina ek kiya hai

sham ne di hai kaam se fursat
dam lene ki mili hai mohlat

ab soenge lambi tane
mehnat lagegi khub thikane

manzil par rahraw ja pahunche
haare thake nind ke mate

kisht-o-chaman sunsan pade hain
khali ab maidan pade hain

pahla sa ghul shor kahan hai
daud dhup ka zor kahan hai

mail-e-rahat hua zamana
khatm hua din ka afsana

chahal-pahal do-chaar ghadi hai
sab ke sirhane nind khadi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close